Photo -72 Taboot Lucknow 1.Imam ali a.s.: tum khuda ko har jagah yad karo ke voh har jagah tumhare sath mawjud hay, Irshadate msumin...
Photo -72 Taboot Lucknow |
1.Imam ali a.s.:
tum khuda ko har jagah yad karo ke voh har jagah tumhare sath mawjud hay,
Irshadate msumin a.s. dar tafsiril imamil mobin
p.30
2.H.Ali A.S : kam
bolna aebo ko chupa deti hai or gunaho ko kam kar deti hai.
(Tajliyate
Hikmat p 203-206)
3.Aek Shakhs ne
kaha mey namaze shab se mehrum hu?
Ali as : Tu wo
shakhs hai jise tere gunaho ne qaid kar rakha hai (is liye tuj ko namaz e Shab
ki tofik hasil nahi)(Elalussharae/ 2/51)
4.H.Ali A.S :
badtarin gunah voh hai jis ko anjam denevala isse halka samje. (Tajliyate
Hikmat p 203-206)
5.H.Ali A.S :
gunah honese mayus na ho jab ke toba ka darvaja khula hua hai. (Tajliyate
Hikmat p 203-206 )
6.H.Ali A.S :
apne parvardigar ke sivay kisi or se ummid na ho or apne gunaho ke sivay kisi
or se khof jadeh na raho. Tajliyate Hikmat p 203-206)
7.H.Ali A.S :
chote-chote gunaho se bacho kyuke ye chote gunah hi bade gunaho ki taraf bulate
hai. (Tajliyate Hikmat p 203-206)
8.Imam ALI a.s.:
tum ILM hasil karo, ILM tumhe zindagi ata karega, (ghararul hakam – babe ilm)
9. H.Ali A.S : ay
gunah par gunah kiye jane vale tera baap (janabe Aadam) sirf ek gunah ki vaja se jannat se nikal diya
gaya tha. (Tajliyate Hikmat p 203-206)
10.H.Ali A.S :
gunaho ko tark kr do is ke pahele ke voh tumhe tark kr de. (Tajliyate Hikmat p 203-206)
11.H. Ali a.s.:
Tanhaai mein bhi Khuda ki na-farmaani se daro, kyunki Jo dekhne wala hai Wohi
faisla karnewala hai. (Nahjul Balagah kalm e qesar)
12.h.ali
a.s. : jo shakhsh dusro ke oyub ki talash me raheta hay to khuda vande
aalam logo ke dilo se uoos ki mohabbat ko khatm kr deta hay, (ghararul
hakam p.683)
13.Imam ali a.s.:
ay farzande aadam ! jab tu yeh dekhe ke khuda tujhe musalsal neamate de raha
hay jab ke tu gunah karta ja raha hay, to tu uoos ki saza o azab se dar, kyunke yeh azab ka
mukaddama hay, (nahjul balagah kalma
25)
14.imam ali a.s.:
khuda ki yeh ne'amato ko faramosh n karo,
1-sehat o
tandurasti,
2-taqat
3-faraghat
4-javani
5-khush hali
yeh sab chizo se
aakherat ko talab karo, (tafseer e safi vo.2 p.275)
15.Imam ali
a.s. : har shkhs ke sath ehsan karo take uoos ke hakim ban jav,(bihar 77 p.421)
16.imam ali a.s.
: apne iman ko sadke ke zariye hifazat karo, apne mal ko zakat ke zariye
hifazat karo,apni balavo musibato ko duva ke zariye dur karo, (nahjul balagah
hikmat 138)
17.Imam ali
a.s. : Ay loko dunya me jo tadbir n ho to koy kher nahi hay,
( al hayat vo.1 p.304)
18.imam ali a.s.:
agar koy 3 namaze juma lagatar bagayr uoozr ke n padhe uoos ka shumar munafik
me hota hay,(mustadrakul wasael vo.1 p.407)
19.Imam ali a.s.:
kamyabi ki rah me sab se badi aafat
susti hay, (ghararul hakam h.3968)
20.Imam ALI a.s.:
NAMAZ shaytani hamlo se bachne ka mohkam qil’aa hay.(ghararul hakam hadis 3343)
21.Imam ALI a.s.:
IMAN mukammal nahi hota magar yeh ke
khuda jis ko dost rakhe uoos se dosti kar, khuda jis se dushmani kare
uoos se dushmani rakh, (sharhe nahjul balaghah v.18 p.51)
22.IMAM ALI a.s.:
tumhare pet ko janvaro ka qabrastan na banavo , (zyada gosht n khavo).(biharul
anwar v.41 p.148)
23.IMAM ALI a.s.
: jab apne dushman par qabu pa lo to kamyabi ke shukriye ke tawr par uoose maaf
kr do, (nahjulbalaga hikmat 11)
24.Imam Ali a.s.:
Meri Izzat ke Liye yeh kafi hay ke may tera banda hu, awr mere fakhr ke liye
yeh bas hay ke tu mera parvardigar hay, (al
khesal bab 9)
25.Imam ALI a.s.:
Israf krne se MAAL khatm ho jata hay
( mizanul hikmat v.5 )
26.MAM ALI a.s.:
MUSALMAN vhi hay ke jis ke hath awr zaban se tamam musalman hifzat se rahe,…………MUSALMAN
ke liye dusre MUSALMAN ko taklif dena jayez nahi . (nahjul balaghah khutba no.
167)
27.IMAM ALI A.:
yeh dunya tumhare qayam ki jagah nahi hay,yeh faqat ek guzargah hay, ke yaha se
hameshgi ke makan ke liye saman faraham karo,
(NAHJUL BALAGAH khutba no.132)
28.imam ali a.S.:
ay band e khuda ! dusro ke ayb bayan karne may jaldi n kar, shayad khuda ne
uoos ko maaf kar diya ho, aawr apne nafs ko mamuli gunah ke bare me mehfuz
tasawwur n kar, shayad ke khuda uoosi par azab kare, (nahjul balagah khutba
no.140)
29 .Imam ali
a.s.: qur’ane majid may tum se pahel jo huva , tumhare bad jo hoga, awr voh
tamam ehkam jo tum se marbut hay , sab
ka zikr kiya gaya hay, (nahjul balagha)
30.IMAM ALI
a.s.:3 CHIZEN NEKI KE DARVAZON ME SE HAY 1 SAKHAVAT KARNA 2 ACHCHI AWR PAKIZA
BATEN KARNA 3 MUSHKILON ME SABR REF ( BEHARUL ANWAR JILD 68 PAGE 354)
31.IMAM ALI
a.s.:jis admi ko gunah karne ka mawqa mile awr na kare to uska martaba rahe
khuda me jehad kar ke shahid hone vale se ziada hay,.( nahejul balaga kalame
hikmat no.474)
32.imam ali a.s.:
dindar ki bahot si nishaniyan hay, ek nishani ye hay ke momin jab bolta hay to
sach bolta hay,(.kafi jild 2 page 239 babul momin va alamatoh Arabic)
33.imam ali
a.s.:aakherat ka badtarin saman khuda ke bando par zulm karna hay (hikmat 221)
34.IMAM ALI
A.S. : SABSE ACHCHI ADAT YE HAY KE JO WADA KARO WAFA KARO ( GORARUL HEKAM
PAGE 251 ARABIC)
35.IMAM ALI a.s.:
haya (sharam) buraiyo se rokti hay, (
ghararul hakam v doraril kalim, hadis 1393)
36.Imam ALI a.s.
: jab NIYYAT kharab ho jati hay to barkat bhi khatm ho jati hay, (ghararul
hakam hadis 6228 )
37.Imam ali a.s.:
jo bhi apne nafs ka hisab karega voh nek bnega, ( GHARARUL HAKAM VO.2 PAGE 161)
38.Imam ali a.s.:
khuda hr amal ka sawab rakhta hay avr har aml ka hisab, GHARARUL HAKAM VO .1
PAGE 63
39.Imam ali a.s.:
mawt thi vadhare sachi vastu koy nathi,
(mizanul hikmah vo.1 p.44)
40.Imam ali a.s.:
kharab logo ke pas bethne se nek logo ke mutallik bad zan ho jata hay, ( OYUNUL AKHBARE REZA A.
V.2 P.128)
Imam Musa al
Kadhim (a.s.): Wiladat 7 safar 128 AH (746Ad at Madina),WAFAT 25 Rajab 183
AH(799AD)Kadhmain, Baghdad. www.alqaem.org